Doston new Laptop buy karne ki khushi or koi cheez me nahi milti har koi chahta hai ki uske paas ek best performing laptop ho laptop ko kharidne ke kai hafton pehle hi sochna chalu kar dete hain ki laptop me RAM itni honi chahiye battery life itne hours honi chahiye look bhot accha hona chahiye or kai cheeze sochne lagta hai.
Har kisiko best brand laptop chahiye hota hai uski RAM zyada chahiye hoti hai battery best battery perfomance laptop chahiya hota hai life long chalne wala laptop chahiye hota hai but kabhi apne socha hai ki aap laptop ki Performance, Life, Speed, Battery life laptop ko use karne se pehle increase kar sakte hai doston ye steps ek new laptop ke liye bahut zaruri hoti hai to chaliye jante hain konsi vo steps hain jo apke laptop ko ek alag performance de sakti hain.
1.Update Your Windows Operating System
2.Rename Your PC or Laptop
3.Create a Recovery Drive
4.Turn Off Annoying Settings
5.Create a System Restore Point
1.Update Your Windows Operating System
Doston laptop ko update karna bhot important hota hai jab koi laptop manufacture hota hai to usme old updates installed hote hain or jab tak ke ap usko purchase karte hain tabk tak kai sare updates launch hojate hain toh isi liye apko laptop ko use karne se pehle updates check kar lena chahiye to chaliye jante hain windows ko up to date kaise rakhe
How to Update Windows:-
Doston iske liye apko apne laptop ke Settings app ko open karna hai uske baad apko click karna hai Updates & Security uske baad apko Windows Update par click karna hai ab agar apke laptop me updates available honge to apko show kar dega agar available ho to update karna hai karne ke baad apko kuch aisa interface dikhega
2.Rename Your PC or Laptop
Doston apne dekha hoga jab koi new laptop purchase karta hai to us laptop ka default name bhot ajeeb hota hai jo change karna zyada accha hota hai default name ke saath laptop ko use se.
How to Rename Your PC or Laptop:-
Doston laptop ko rename karne ke liye sabse pehle apko Settings app ko open karna hai uske baad apko System par click karna hai uske baad apko About par click karna hai about me click karne ke baad apke samne apke Device ke Specification open ho jayenge isme apko ek option dikh raha hoga Rename this PC us par click karna hai then apko jo name apne new laptop ko dena hai ap de sakte hain uske baad apko restart karna hoga.
3.Create a Recovery Drive
Doston jab apka laptop kisi problem me run karta hai or start nahi ho pata tab USB Recovery Drive apke laptop ki help karta hai sare Troubleshoots or sari problem fix karne me.
How to Create a Recovery Drive:-
Doston Recovery Drive ko create karne ke liye apko sabse pehle apko search box me type karna hai Recovery ab apko ye app open karna hai iske baad apko Back up System Files to the Recovery Drive par tick karna hai tick karne ke baad apko Next par click karna hai.
4.Turn Off Annoying Settings
Doston laptop me kuch-kuch default settings aisi bhi hoti jo apke laptop ko slow or laggy bana deti hai toh un default settings ko change or disable karna bhot zaruri ho jata hai to aisi hi kuch settings ati jinhe apko change or disable karna hai jisse apke laptop ko ek nai speed mil jayegi.
How to Turn Off Annoying Settings:-
(1).Turn Off Start Menu Advertising:-
Doston is setting ko off karne ke liye sabse pehle apko Settings par jana hai usme apko Personalizing par or uske baad Start par click karna hai yaha apko ek option milega Show suggestion occasionally in start usko apko simply off kar dena hai.
COMMENTS