Make Windows Look Like MacOS Mojave
Doston MacBook ko kon pasand nahi karta har koi chahta hai ki uske paas ek na ek laptop to ho hi or laptop ho to voh MacBook ho.
Par har koi MacBook ko afford nahi kar pata hai kyunk iski price bhot high hoti hai.
Doston aaj me apke liye kuch aisi trick leke aya hun jisse aap apne Laptop ya PC ko MacOS Mojave jaisa look de sakte hain vo bhi free me.
Isse apka Laptop MacBook jaisa kaam nahi karne lagega.
Is trick ko use karne se apke laptop me same MacBook jaisa look ajayega.
Is post me main apko bataunga laptop me MacOS Menu Bar ko kaise install or apply kare.
Sath hi isme me apko bataunga ki aap apne windows ke default icon ko MacOS Mojave Icons me kaise switch karke MacOS Mojave Dock ko kaise install or apply kare.
What Is MacOS Mojave?
Doston MacOS Mojave Apple ka fifteenth major release hai MacOS ka.
Doston simple words me kaha jay to MacOS Apple ke desktop ka operating system hota hai Macintosh Computers ke liye
Doston MacOS Mojave announced hua tha Apple's Worldwide Developers Conference me June 4, 2018 me or release hua tha September 24, 2018 me
.
Doston Operating System ka naam Mojave Desert ko refer karta hai.
Doston MacOS Mojave desktop operating system par kai iOS app lata hai jaise Apple News, Voice Memo, or Home or kai apps.
Isme ek bhot hi advance cheez Dark Mode bhi hota hai.
How to Make Windows Look Like MacOS Mojave?
Doston Windows ko MacOS Mojave ka look dene me apko 4 steps ko follow kar hoga
1. MacOS Mojave Wallpaper
2. MacOS Menu Bar
3. How to Change Windows Icons
4. MacOS Mojave Dock
Doston apko ye saari steps follow karni padegi agar apko apne windows ko MacBook jaisa look dena hai toh.
1. MacOS Mojave Wallpaper
Doston MacOS Mojave ke wallpaper 2 types ke hote hain 1.Mojave Day 2.Mojave Dark
Mojave Light
Click Here To Download
Mojave Dark
Click Here To Download
Doston jo apko accha lage vo aap download kar sakte hain.
Download karne ke baad apko ise apply karna hai as desktop background.
Ab next step ati hai MacOS Menu Bar.
2. MacOS Menu Bar
Doston Menu Bar ko download karne se pehle apko ek application ko download karna padega download karne ke liye niche diye gay link pe click kare.
Click Here To Download Rainmeter.
Doston Rainmeter download karne ke baad apko Menu Bar ko download karna hai iska bhi link maine niche de diya hai.
Click Here To Download Menu Bar.
Doston Menu Bar ko download karne ke baad us file pe right click karna hai.
Right click karne ke baad simply apko Install Rainmeter Skin.
Doston ab apne jo wallpaper download kiya hai usse match apko Menu Bar ki theme change karni hai.
Theme change karne ke liye apko Menu Bar me 3 lines par click karna hai.
Doston agar apne Mojave Light wallpaper download kiya hai toh apko Theme white select karni hai.
Or agar apne Mojave Dark wallpaper download kiya hai toh apko black Theme select karna hai.
Doston ye sab karne ke baad apka Menu Bar set ho jayega.
Doston is Menu Bar me Upper left corner me Windows ka logo ata hai or agar apko wahan bhi Apple ka logo chahiye to maine ek article me sab bataya hai vo Menu Bar iska Updated or advanced version hai.
MacOS Menu Bar Updated Version Click Here.
RELATED
3. How to Change Windows Icons
Doston ye step thodi complicate hai isliye apko thoda carefully read karna hai.
Doston apko apne laptop ke Icons MacBook me change karne hain.
Iske liye apko 2 files ki zarurat padegi iske bhi link apko niche mil jayenge.
1. 7TPS GUI- Click Here To Download
2. Macpac icon- Click Here To Download
In dono files ko kisi bhi folder me extract kar len.
Iske baad apko ek file milegi '7tsp GUI v0.6(2019).ee' is file ko rename karna hai '7tsp GUI v0.6(2019).exe' isme.
Ab apko 2 file milegi '7tsp macpac darkmode.7z.remove' or '7tsp macpac lightmode.7z.remove'.
Ab agar apne Mojave Light wallpaper download kiya hai to apko '7tsp macpac lightmode.7z.remove' me se '.remove' ko delete karna hai rename karne ke baad ye zip file me convert ho jayega.
Or agar apne Mojave Dark wallpaper download kiya hai to apko '7tsp macpac.7z.remove' me se '.remove' ko delete karna hai rename karne ke baad ye zip file me convert ho jayega.
Ab apko 7tsp GUI v0.6(2019) ko open karna hai.
Uske baad apne agar apne lightmode ko rename kiya hai to apko us zip file ko select karke 'Add a custom patch' par click karna hai.
Or agar apne darkmode ko rename kiya hai to apko us zip file ko select karke 'Add a custom patch' par click karna hai.
Uske baad apko Start Patching par click karna hai.
Patch complete karne ke baad apko apne laptop ko restart karna padega.
Restart karne ke baad apke windows ke icons MacBook jaise icons ho jayenge.
Doston restart karne ke baad apko EXTRAICONS ke folder ko copy karke 'Local Disk OS (C:)' me paste kar dena hai.
Ab apko 4th step follow karna hai Dock ke liye.
4. MacOS Mojave Dock
Doston agar apko MacOS Mojave Dock nahi pata kya hota hai to maine example diya hua hai.
Doston Dock ko install karne ke liye apko ek application ki zarurat padegi jiska naam hai Nexus iska link bhi apko niche mil jayega.
Click Here To Download Nexus.
Doston ye file Zip form me aati hai apko simply isko kisi bhi folder me extract karna hai.
Nexus ko download karne ke baad apko ek or file ki zarurat padegi jiska naam Mac Mojave hai jo apke simple Nexus Dock ko MacOS Mojave Dock me convert kar degi.
Link maine niche de di hai aap download kar sakte hain.
Click Here To Download Mac Mojave.
Doston Nexus ko extract karne ke baad apko NexusSetup ka option mil jayega us par right click karke open kar lena hai.
Uske baad simply apko I accept the agreement par tick karke install par click kar lena hai.
Apka Nexus apke Laptop pe show ho jayega ab apko isko MacOS Mojave Dock me convert karna hai.
Ab apko Dock me Nexus Preference ka option dikh raha hoga us par click karna hai.
Uske baad apko Advanced par click karna hai.
Uske baad apko niche Restore par click karna hai.
Ab apko Mac Mojave wali file select karke open par click kar lena hai.
Ab apka Dock same MacOS Mojave jaisa dikhega.
To doston ab apka laptop same MacOS Mojave jaisa dikhega or aap chahein toh isme koio bhi app add or remove kar sakte hain.
CONCLUSION
So, i hope apko pasand aya hoga or apko apne laptop ko MacOS Mojave look mila hoga So, keep loving, keep visiting, and keep sharing.
ALSO READ
Mac is one of the best devices. The latest macOS Mojave is a treat to the eyes. Check it out and test it for yourself.
ReplyDelete